Hello friends, kya aap android mobile ki screen ko computer me kaise show kare ya computer me se kaise chalaye uske tarike dhundh rahe hai, agar ha to ye post apke liye hai. Namste mera name sunita hai aaj is post me ham janege ki Android Mobile Ki Screen Ko Computer Me Kaise Chalaye, me apko iski puri jankri hindi me dene vali hu.
How To View Android Mobile Screen On Your Computer
kyonki ADB Driver ke bina apke mobile ki screen apke computer me nahi dikhegi.
Iske Liye Ye Apke Pass Ye Hona Jruri Hai.
- Computer Ya PC
- Android Mobile
- Data Cable
Iska sabse bada fayda ye hai ki iske jariye aap apna pura mobile apne computer me se chala sakte hai. Vo chahe apka whatsapp ho ya facebook. To chaliye start karte hai.
Android Mobile Ki Screen Ko Computer Me Kaise Chalaye |
How To View Android Mobile Screen On Your Computer
Step 1:- Sbse pahle apko apne computer me vysor name ki application install karna hoga uske liye apko niche di gai hui link par click karna hoga.
Vysor |
For More Read :-
Step 2:- uske bad us Application ko open karna hoga. Open karne ke bad app niche di hui photo me dekhoge to apko ak arrow dikhega Vaha par Apko ADB Driver dikhega us par click karke usko apko download karna hoga. or us ADB Driver ko apne computer me run karke install karna hoga.
vysor |
kyonki ADB Driver ke bina apke mobile ki screen apke computer me nahi dikhegi.
Step 3 :- Yha par computer ka kam pura hua ab apke pass jo android mobile hai usme apko play store open karke vysor search karna hoga or use install karna hoga.
vysor application |
Step 4 :- Uske bad apko apne mobile me usb debugging ko on karna hoga. vaise to sare mobile me developer option hota hai. agar apke mobile me developer option nahi hai to apko apne mobile me setting me jana hai vaha par apko about phone ka option dikhega us par click kar ke open karna hai.
Step 5 :- Ab apko vaha par build number ka option dikhai dega us par apko jyada se jyada 7 & 8 bar click karna hai utna karte hi apke mobile ke setting me developer option on ho jayega.
Step 6 :- ab apko us developer option par click krke usme jo USB debugging usko on karna hai.
ab apka sara kam pura hua
Step 7 :- Ab apke pass jo USB cable hai uske jariye apne mobile or computer ko connect kar dijiye. uske bad apko apne mobile par ak message dikhai dega usko ok karna hai.
ab dhire dhire apko apni mobile ki screen apne computer ki screen par dikahi degi.
congratulation for this Achievement
To Freinds, agar apko hamari ye post apko pasand aayi ho to is post ko apne Relative, Friends ke sath or social media par share karna na bhule.
Agar apko is post ko lekar koi bhi confusion hai to bilkul sochiye mat bus niche diye hue comment box me comment kar dijiye, hum apka confusion dur krne me ho sake utni apki madad karenge.
Thank You.
No comments